Monday, 14 January 2013

EHSAS


1. Mile kya tum zindagi me maaza aane laga hai,
    Tere milne se bana naseeb mera,
    Varna zamana kahan tha habeeb mera,
    Akela to karwan se chhoot main jata,
    Saath tera tha, karta kya koi mera.

2. Mera mukaddar ka chamakata sitara hai too,
    Thoda jhagadta hai phir bhi pyara hai too,
    Teri shakhsiyat ko maine pehechana bahut,
    Milta hai sabse phir bhi to nyara hai too.

3. Dekh kar tujhko shayari phir se karne ko jee chahta hai,
    Mil kar tujh ko dairy phir se bharne ko jee chahta hai,
    Jee chahta hai jawani ko phir se lauta laaun,
    Guzri hui har khumari ko phir se varne ko jee chahta hai.

4. Dhadkte dil ke bahut pass ho tum,
    Par kyun iss kadar udaas ho tum,
    Duniya bhar ki phikra to mein nahin karta,
    Magar bheed me bahut khaas ho tum.

5. In khoi khamosh nazron me chahat dekhta hoon,
    Duniya bhar se tumhe kuchh aahat dekhta hoon,
    Chupchap-simti-si, aur kareeb chali aao,
    Bas is surat me yahi ek rahat dekhta hoon.

6. Dhoonda tha maine ji pyaar tumhari aankhiyon me,
    Aate-aate hi aaya ikrar tumhari aankhon me,
    Jannat ki to baat hi kya, dikhta hai,
    Pure ka pura sansaar tumhari aankhon me.

7. Jeevan to bas pyaar ka geet hai,
    Dil me basta madhur sangeet hai,
    Aasman se bhi phool baraste hai,
    zameen pe yahee to pyaar ki jeet hai..

8. Tum chahat to rakho hum aham bhi mita denge,
    Jaaga huye ahankar ko gaheri neend sula denge,
    Jo na jhuka kisi bhi dar par us sar ko,
    Hum sareaam tere dar jhuka denge..


9. Ab to chadhti nahi khumari sharra ki,
    Kyunki rehti hai masti tere shabab ki,
    Inaytein hi rhi kucch aisi apne yaar ki,
    Phir sudh hi kise rahi jam-o-hisaab ki.

10. Na chhedo raakh ko, shahare bolte hain
      Gujre mausam ke sahare bolte hain.
      Kyon chale aata ho chupke se un,
      Rahon par, jinke nazare bolte hain.
11. Kalai dhoond hi lengi hamari chudiyan
      Sajegi khub tum par nyari churiyan
      Ek baar rang jao bas pyar me
      Hanste-hanste sahe lengi bojh bhari churiyan.

12. Teri wafaon ka andaz yaad rahega,
      Bepanah chahon ka andaz yaad rahega
      Yun to hamsafar safar me bahut milenge
      Teri adaon ka andaz yaad rahega.

13. Dekh kar tujh ko, dil yun jhoom uthta hai
      Jaise jarra-jarra se badhkar aaftab choom uthta hai
      Jee chahta hai saari kaynat ko sar pe utha lun
      Jaise mauj me dariya ka kinara jhoom uthta hai.

14. Mile kisi bhi umar me,
      Pyar baharon jaise hai,
      Uska ghar me aa jana
      Bas tyoharon jaise hai.

15. Teri nigah me teri rooh ka aks jhalakta hai,
      Tere chehre pe khuda ka noor tapakta hai,
       Koi is sadgi par kyon na jaye sadke,
      Aang aang me kudarat ka roop damakta hai.

16. Tujhe soch ke hi khud se rashq hota hai,
      Aankh nam hoti hai jab tera hi ashq hota hai,
      Main so so baar khud hi me jhum uthta hoon,
      Tere har khyal se mera jashne-a-ishq hota hai.

17. Teri hamko jo dosti mil gai,
      Zindagi ko nai roshni mil gai,
      Kami to pehle bhi na thi koi
      Ab to har pal ko khusi mil gai.

18. Zeevan ki mere bahar ho tum,
     pyar ka mere khumar ho tum,
     khubsurat ho gaya zahan yeh sara,
     meri har soch ka yun shringar ho tum.

19.  Mayus zindagi ka koi to hal de de,
      umra bhar rahe mera koi to pal de de,
      tamaam zamin khisakati hai koi gam nahin,
      mere wazood ko chahat ka koi tal de de.

20. Mere hisse ka aman mujhe de do,
      bas dil ka chaman mujhe de do,
      khusa ki khudai main kahan maangta hun,
      bas yeh khilta suman mujhe de do.

21. Chahat to do dil ka mail hai,
       bus dil ka dil se khel hai,
       zabardasti ki yahan gunjaish nahin,
       yeh toh pyar ki madhur jail hai.

22. Chahat to dheere –dheere rang laati hai,
      pyar se hi yeh sang banati hai,
      koi bhi to gair nahin rehta,
      dekhne ka aisa dhang jagaati hai.

23. Teri chahat ka rang bada hi pyara hai,
      sabse milta hai phir bhi nyara hai,
      yun to me khud hi me bahut buland hoon,
      par teri ulfat ne aur bhi sanwara.

24. Mere rutbe se tera rutba chhota pad gaya,
      teri wafa se mera hale-wafa chhota pad gaya,
      chalta yeh rishta tera-mera aakhir kaise,
      tu yahan chhoti pad gai main vahan chhota pad gaya.

25. Chahat walon ke ishare bolte hain,
      ache mausam ke nazare bolte hain,
      chadh jaye ishq parvan to ek baat hai,
      varna ishq me dariya ke kinare bolte hain.

26. Bheed ke shehar me vo kis dagar me chhod gaya,
      rehbar ban kar mujhe rehgujar me chhod gaya,
      naakhuda hi , khuda bhi tha meri kashti ka,
      yakeen dila ke mujhe kyon bhanwar me chhod gaya.

27. Khud ko tanhaiyo me tol chuki hun,
      khamoshi ki har zuban main bol chuki hun,
      meri zindagi tere siwai kuchh bhi nahin,
      main apni har saans ko tatol chuki hun.

28. Teri wafaon ka main karzdar hun,
       teri sadaon ka main tarafdar hun,
       uljhi zindagi ko sanwara hai tumne,
       tahe dil se tera main shukraguzar hun.

29. Hota hai jab bhi inkar tumhari baton me,
      lagta hai mujhko to ikrar tumhari baton me,
      duniya samjhe, na samjhe, par mujhko,
      bas milta hai pyaar tumhari baton me.

30. Ek rishta jo kaayam ho gaya, teri raahon se,
      zuba kab huye bichud ke bhi teri bahon se,
      zindagi ke safar ne bhale hi kar diya zuba,
      par dil dono ke hu kab zuba huye chahon se.

  






1. Mile kya tum zindagi me maaza aane laga hai,
    Tere milne se bana naseeb mera,
    Varna zamana kahan tha habeeb mera,
    Akela to karwan se chhoot main jata,
    Saath tera tha, karta kya koi mera.

2. Mera mukaddar ka chamakata sitara hai too,
    Thoda jhagadta hai phir bhi pyara hai too,
    Teri shakhsiyat ko maine pehechana bahut,
    Milta hai sabse phir bhi to nyara hai too

3. Dekh kar tujhko shayari phir se karne ko jee chahta hai,
    Mil kar tujh ko dairy phir se bharne ko jee chahta hai,
    Jee chahta hai jawani ko phir se lauta laaun,
    Guzri hui har khumari ko phir se varne ko jee chahta hai.

4. Dhadkte dil ke bahut pass ho tum,
    Par kyun iss kadar udaas ho tum,
    Duniya bhar ki phikra to mein nahin karta,
    Magar bheed me bahut khaas ho tum.

5. In khoi khamosh nazron me chahat dekhta hoon,
    Duniya bhar se tumhe kuchh aahat dekhta hoon,
    Chupchap-simti-si, aur kareeb chali aao,
    Bas is surat me yahi ek rahat dekhta hoon.

6. Dhoonda tha maine ji pyaar tumhari aankhiyon me,
    Aate-aate hi aaya ikrar tumhari aankhon me,
    Jannat ki to baat hi kya, dikhta hai,
    Pure ka pura sansaar tumhari aankhon me.

7. Jeevan to bas pyaar ka geet hai,
    Dil me basta madhur sangeet hai,
    Aasman se bhi phool baraste hai,
    zameen pe yahee to pyaar ki jeet hai.

8. Tum chahat to rakho hum aham bhi mita denge,
    Jaaga huye ahankar ko gaheri neend sula denge,
    Jo na jhuka kisi bhi dar par us sar ko,
    Hum sareaam tere dar jhuka denge.

9. Ab to chadhti nahi khumari sharra ki,
    Kyunki rehti hai masti tere shabab ki,
    Inaytein hi rhi kucch aisi apne yaar ki,
    Phir sudh hi kise rahi jam-o-hisaab ki.

10. Na chhedo raakh ko, shahare bolte hain
      Gujre mausam ke sahare bolte hain.
      Kyon chale aata ho chupke se un,
      Rahon par, jinke nazare bolte hain.

11. Kalai dhoond hi lengi hamari chudiyan
      Sajegi khub tum par nyari churiyan
      Ek baar rang jao bas pyar me
      Hanste-hanste sahe lengi bojh bhari churiyan.

12. Teri wafaon ka andaz yaad rahega,
      Bepanah chahon ka andaz yaad rahega
      Yun to hamsafar safar me bahut milenge
      Teri adaon ka andaz yaad rahega..

13. Dekh kar tujh ko, dil yun jhoom uthta hai
      Jaise jarra-jarra se badhkar aaftab choom uthta hai
      Jee chahta hai saari kaynat ko sar pe utha lun
      Jaise mauj me dariya ka kinara jhoom uthta hai..

14. Mile kisi bhi umar me,
      Pyar baharon jaise hai,
      Uska ghar me aa jana
      Bas tyoharon jaise hai.

15. Teri nigah me teri rooh ka aks jhalakta hai,
      Tere chehre pe khuda ka noor tapakta hai,
       Koi is sadgi par kyon na jaye sadke,
      Aang aang me kudarat ka roop damakta hai.

16. Tujhe soch ke hi khud se rashq hota hai,
      Aankh nam hoti hai jab tera hi ashq hota hai,
      Main so so baar khud hi me jhum uthta hoon,
      Tere har khyal se mera jashne-a-ishq hota hai.

17. Teri hamko jo dosti mil gai,
      Zindagi ko nai roshni mil gai,
      Kami to pehle bhi na thi koi
      Ab to har pal ko khusi mil gai.

18. Zeevan ki mere bahar ho tum,
     pyar ka mere khumar ho tum,
     khubsurat ho gaya zahan yeh sara,
     meri har soch ka yun shringar ho tum.

19.  Mayus zindagi ka koi to hal de de,
      umra bhar rahe mera koi to pal de de,
      tamaam zamin khisakati hai koi gam nahin ,
      mere wazood ko chahat ka koi tal de de .

20. Mere hisse ka aman mujhe de do,
      bas dil ka chaman mujhe de do,
      khuda ki khudai main kahan maangta hun ,
      bas yeh khilta suman mujhe de do

21. Chahat to do dil ka mail hai,
       bus dil ka dil se khel hai,
       zabardasti ki yahan gunjaish nahin,
       yeh toh pyar ki madhur jail hai.

22. Chahat to dheere –dheere rang laati hai,
      pyar se hi yeh sang banati hai,
      koi bhi to gair nahin rehta,
      dekhne ka aisa dhang jagaati hai.

23. Teri chahat ka rang bada hi pyara hai,
      sabse milta hai phir bhi nyara hai,
      yun to me khud hi me bahut buland hoon,
      par teri ulfat ne aur bhi sanwara.

24. Mere rutbe se tera rutba chhota pad gaya,
      teri wafa se mera hale-wafa chhota pad gaya,
      chalta yeh rishta tera-mera aakhir kaise,
      tu yahan chhoti pad gai main vahan chhota pad gaya.

25. Chahat walon ke ishare bolte hain,
      ache mausam ke nazare bolte hain,
      chadh jaye ishq parvan to ek baat hai,
      varna ishq me dariya ke kinare bolte hain.

26. Bheed ke shehar me vo kis dagar me chhod gaya,
      rehbar ban kar mujhe rehgujar me chhod gaya,
      naakhuda hi , khuda bhi tha meri kashti ka,
      yakeen dila ke mujhe kyon bhanwar me chhod gaya.

27. Khud ko tanhaiyo me tol chuki hun,
      khamoshi ki har zuban main bol chuki hun,
      meri zindagi tere siwai kuchh bhi nahin,
      main apni har saans ko tatol chuki hun.

28. Teri wafaon ka main karzdar hun,
       teri sadaon ka main tarafdar hun,
       uljhi zindagi ko sanwara hai tumne,
       tahe dil se tera main shukraguzar hun.

29. Hota hai jab bhi inkar tumhari baton me,
      lagta hai mujhko to ikrar tumhari baton me,
      duniya samjhe, na samjhe, par mujhko,
      bas milta hai pyaar tumhari baton me.

30. Ek rishta jo kaayam ho gaya, teri raahon se,
      juda kab huye bichud ke bhi teri bahon se,
      zindagi ke safar ne bhale hi kar diya juda,
      par dil dono ke hu kab zuba huye chahon se.


31. chal tere saath sitaron ki duniya me chalen,
      Sang tere baharon ki duniya me chalen,
      kisi bhi manzil ki ab tavakko nahin,
      Bus pyar liye pyaron ki duniya me chalen.

32. chhod kar chah is duniya ki, meri nigahon me aa jao,
      karo gairon ko ab ruksat, meri bahon me aa jao,
      umra bhar seh li gardish ki tapish tumne,
      ab to mere pyar ki pnahon me aa jao.

33. khoya tha patjad me, ab ja ke mile baharon me,
      dhoond hi liya aakhir tumko khusiyon ki dharon me,
      Hum to samjhe the tum rahte ho is duniya me,
      Par tum to ja ke nikle chand-sitaron me.

34. Ye log zalim jinke ishare bolte hain,
      kehte kuch nahin, par saare bolte hain,
      inse bhi kya Karen koi gila-shikva,
      tumhare paas aate hi nazare bolte hain..

35. gam nahin koi chal diay saath chhod ke,
      basa liya jahan naya, dil ko tod ke,
      duyaayen to phir bhi nikalti hi rahin,
      Shad rahe umra bhar, tod gaya jo rishte jod ke.

36. Main to aaj bhi tere hi Daman se bandha hun
      teri hi khusbu se na ki chaman se bandha hun
      mera khud ka wajud to ho gaya bemain,
      teri hee sanson ki anjuman se bandha hun.

 37 teri yaadon ki mehak mere saath aai hai,
      jo mere ishq ke liye nai saans laai hai,
      Main khud ko is zamin pe nahin pata,
      mili mujh ko aakash si unchaii hai..

38. teri rahon me wafa ke chirag jalate hi rahenge,
      ta umra tujhe dilkash nagme-sunate hi rahenge,
      tu samjhe, na samjhe, yeh tera kaam hai,
      Hum rahon pe Daman bichate rahenge.

 39. nibhaye riste tumse, hamne sabko chhod ke,
       dushman kiya zamana khud ko tumse jod ke,
       khamoshi se hum to dete rahe tumko duaainye
       khud apne hi haathon dil ko apne tod ke.

 40. kisi ko apna banana usko khoob aata hai,
       pyar ko najron se janata usko khoob hai,
       koi usko bhoole bhi to kis tareh bhoole,
       apne jadoo ko chalana usko khoob hai.


41. Chalo is tarah ki har karam ko anjaam do,
      thak gaye ho jo unko naya paigaam do,
      yeh zindagi to sab ko milti hai ek si
      aisa karo ki tum hi ise naiye ayaam do.

42. Jaane se pehle yahaan nishani chhor de,
      Is jahan ke liye ek kahaani chhor de,
      thehre hue dabron ko yahhan kaun poochta hai,
      behte dariya jaisi ek rawani chhor de.



43. Dil to maine kisi ka toda nahin,
      phir kyon zindagi ne sitam karma chhoda nahin.
      phakat apani zindagi he toh jeene chahi thi,
      kisi dariya ke rukh ko toh moda nahin.

44. Dushman toh teri rah main kaantein he bichyaega,
      hausale-himmat ko bhi khub aajmaiga,
      phan pass ho toh kashti ko bacha lo,
      warna dekhte dekhte safina doob jayega.

45.  Jeevan k har mod par paigam bahut hain,
        neeyat gar krne ki ho toh kaam bahut h,
        khaali jeb ko yaha koi puchta nai,
        haan , gar maal ho toh salaam bahut hain.

46. Mushkile kya padi ki saath chhooth gaye,
      dilo k rishte dilo se toot gye,
      hum toh khamakha rakibon se chupte fire,
      Yaha toh apne he sareaam loot gaye.

47. Raha h mausam kaisa, nazare bolte hain,
       gujjra kaha se dariya kinare bolte hain,
       dikhne main toh bhuj gya sab kuch,
       par raakh main ab bhi angaare bolte hain.

48. Krna chahe toh hum kaam bahut hain,
      humsafar ko hardam paigam bahut hain,
      neikdili ki yaha koi keemat kaha hain,
      dikhawati samaan k jaanam daam bahut hain.

49. Zindagi bhar ki chuban mujhe de do,
      har safar ki thakaan mujhe de do,
      aao lag jao gale iss kadar,
      ki har saans ki ghutan mujhe de do.

50. Ab firse mujhse rishta banane lage h log,
      dekhta hu mujhko apna batane lage h log,
      girke khud he samhaljo gya aakhir,
      islie apno main he ginane lage hain log.




51. Wo fakir bana rha , amiro main baith kar,
      main amir bana rha fakiro main baith kar,
      zindagi dono ki he kat gyi apni-apni soch me,
      naseeb fir bhi wo dhoondta rha lakiro main baith kar.

52. Ab to har keemat pe ghar ko sajane lage hain log,
      Dil ki dharkan tak ka bbazar banana lage hain log
      Ab kis-kis ko kya-kya den yahan vasta
      Jism kya jamir nji daanav pe lagane hain log.

53. Koi apna hi teri rah me kaante bhichhaiga,
      Dost keh kar hi mushkil me phasaiga,
      Gar rakh sakega tu khud ko yun hi buland,
      Khud-b-khud chalne ka saleeka seekh jaayega.

54. Yahaan sirf dikhave ke hi rishte hain,
      Ghut-ghut ke log bas piste hain,
      Oopar se bhale hanste rahein par,
      Andar se jakhm to sabke rishte hain.

55. Pilaye gar khud saaki to kaun piyega paimane se,
      Milti rahe sharab to kaun uthega maikhane se,
      Aadmi ko parwane sa junoon nahin milta varna,
      koi kam maza to nahin sham ape jal jane se.

56. Koi bhi ummeed nahin rakhta apno se begano se,
      Bin peeye hi laut chala aata hoon maiyekhano se,
      Kisi bhi jam ki koi pyaas nahin baki,
      Chahe saaki khud hi aaye pilane painmano se.

57. Log rishton ka sirf bojh dhote hain,
      Khushfahmi me hi khud ko khote hain,
      koi dil-kash yaar to naseeb nahi hota,
      bas mukhote audh kar hi khush hote hain.

58. Khamosh nighaon se kucch keh gaya koi,
      Sitam yaaron ke hanste huye seh gaya koi,
      Kaabil hote huye bhi uski khatir,
      Jaanboojh kar hi peeche reh gaya koi.




59. Khuda se ek din gila bhi karunga,
      Milega jab bhi dua-e-sila bhi karunga,
      Kyun sitam rakh diye usne mere hi liye,
      Phir bhi pyaar se sabko mila bhi karunga.

60. Sadagi hi zamane ko ras na aai,
      Gila tha, kyun gulon se suwas na aai,
      Hum to kanton me bhi khilte hi rahe,
      par duniya ko phir bhi sans na aai.

61. Dubton ko, dubte bachane lage hain,
      Uchchake bhi khud ko khuda jatane lage hain,
      Chali hai aandhi aisi is daur me,
      Lutere bhi doli sajan lage hain.

62. Andhero me chirag jalate hi rahenge,
      Tere daman ko yun sajate hi rahenge,
      khud bhale bache na bache , fauzi hain hum,
      par watan ko sada bachate hi rahenge.

63. Zehrili hawaon ke jharokhe band kar lo,
      Mulk ko uthana hai to irade buland kar lo,
      Bahri dushmanon ko kai baar pacchada hai,
      Andhrooni gaddaron se bhi baatain chand kar lo.

64. Jeb bhar ke salam lete ho,
      Videshi maal ka inaam dete ho,
      Tumhari saajish se vakif hain hum,
      Ghulami ko naya naam dete ho.

65. Umra bhar mujhko aaya koi hosh nahin,
      llawa daulat ke bhaya koi josh nahin,
      khudparasti me guzaar di zindagi maine,
      phir bhi kehta raha main madhosh nahin.

66. Chhoda hai ahem jabse, sahi nazar aane laga hai,
      Ab to har shakhs me too hi nazar aane laga hai,
     Gam ko sanjoya hai kuchh is tarah se hamne,
     Ab hamko bhi ghazal ka hunar aane laga hai.



67. Ab to dard me bhi maza aane laga hai,
      Khouf dil se gamon ka jane laga hai,
      Samjha hai jab se khud ki fitrat ko,
      Ek nasha aur hi hai jo chhane laga hai.

68. Umra bhar saath rehne se to koi meet nahin banta,
      Alfaaz ke sirf jodne se koi geet nahin banta,
      Parwana khud ko phana karke shama jalata hai,
      Dard jab tak ubharta nahin koi sangeet nahin banta.

69.Tamam umra khud hi ki guthaian suljhata raha,
      Khar na dil ko chubhe, gulon se main katrata raha,
      Khud ko mehfooz rakha tha  yun to har har hadood me,
      Umra ke is daur me phir bhi pacchtata raha.  


·        Pacchtava hi meri zindagi ka bissa hai,
Sach to yeh hai, yeh har kisi ka kissa hai,
Rehte waqt yahaan kaun kab jagta hai,
Yeh to bas beeti  jawani ka hissa hai.

·        Umra bhar ka yahan kis ka thikana hai,
Safar koi ho sab ka yahi fasana hai,
jab tak saath ho, pyar se nibha lijiye,
varna der-saver to sabko hi jana hai.

·        Zamane me kis-kis ko, kya-kya samjhoge
Aur kab talak rsita-e-zakhm-e-dil dikhlaoge
Ye bedard kisko samjhe hain jo tujhe samjhaenge
Khud dard ko hi dava banao, zindagi tabhi samajh payoge.


·        Ishq wale chahat buland rakhte hain,
Dilon me ibadat buland rakhte hain,
Kisi mandir-masjid me ve nahin jate,
Vo to bas dilon me khuda ko band rakhte hain.



·        Bhatke Umra bhar, na mila koi thikana hai,
Khoya khud tumne hi khud ka khazana hai,
Lo ab to waqt-a-rukhsat bhi aa pahuncha,
Abhi kahan khud tak ko bhi pehchana hai.

·        Tez bhagne se kabhi manzil nahin milti,
Dubte ko kabhi mauje-sahil nahin milti,
Yahan to sab uski rehmat ka karishma hai,
Zindgi me phir koi mushkil nahin milti.

·        Man ke vikaar bhi to nahin jate,
Achche sanskar bhi to nahin jate,
Zindagi guzarti hai isi duvidha me,
Virodhi vichar bhi to nahin jate.

·        Vo jab bhi khud ko pehchan payega,
Bhid me tanha khada khud ko payega,
Bus daud hi jo phakt haath lagegi,
Varna to khali dil sath jayega.

·        Na jaane kis-kis agan se guzarta hai aadmi,
Tab kahin ja kar mann se nikharta hai aadmi,
Barson tak gar saadh ke rakh sake jo use,
Tab aisi lagan se, sudharta hai aadmi.

·        Chhod bahar ko, man ko dekh,
Asli hai jo us dhan ko dekh,
Kyon bhatke hai mandir-masjid,
Khud ke bhitar phan ko dekh.


·        Thokren ktini bhi kha le kahan sudharta hai aadmi,
Zindagi bhar bas mugaalton se gujarta hai aadmi,
Naapta phirta hai yun to har gehrai ko,
Phir bhi khud se kahan ubharta hai aadmi.

·        Logon me ab wo ibadat nahin milti,
Desh ke liye ab wo shahadat nahin milti,
Banavati Chehre to nahut mil jate hain,
Chahne walon me bhi wo chahat nahin milti.

·        Chhod aise nishan, log kahani kahenge,
Minh se kya, aankho ki zubani kahenge
Varna Kiski hasti hai jo bachti hai,
Bas paani par likhi ek nishaani kahenge.

·        Apni khudi ko khud hi buland rakh,
Mar- mite jo dost wo chand rakh,
Ibadat ke liye kyon dhoonde btkhane,
Dharkate dil me uski sada band rakh.




·        Aadmi to jeete ji nahak marta hai,
Kahne ko jeene ka dam bharta hai,
Siraf chintan se hi bodh jagta hai,
Varna moorchit hua sab karta hai.

·        Insa ko bas insa hi samjhe, aisa dharma dijiye,
Jo dil me aaye likh sake, aisa kalam dijiye,
Rahe hi na koi kamna baki, Ai-khuda,
Kam se kam ek baar to aisa janam dijiye.

·        Gar bahar ho andhkar, kaam mashaal karti hai,
Chahat bhujhe dil me bhi kamala karti hai,
Is jahan me ohir koi gair tak nahin rehta,
Iske dum par khudi khuda se bhi sawaal karti hai.

·        Har chehre ki shikan mitana chahta hoon,
Har safar ki thakan mitana chahta hoon,
Chahta hunt ere bandon ko is kadar chahoon
Har uljhan ki chubhan mitana chahta hun.

·        Andhere khud hi hat kar guman ban gaye,
Mere apne zakham khud meri dava ban gaye,
Na hoti meri rahen is kadar roshan,
Rakib mere mujhse badhkar meri zuban ban gaye.

·        Dharam, aadmi ko jagata hai jhinjhod ke,
Sahi fitrat batata hai khuda se jod ke,
Sidhe raste dikhata hai tedhe, mod ke,
Aur khuda ko milata hai, aham tod ke.

·        Is duniya ne kisko pehchana hai,
Isne to har ek ko kamjaraf hi jana hai,
Par jisne bhi ise paonv ki thokar me rakkha,
Bas usi ko hi sabse badhkar mana hai.

·        Kisne umra bhar saath nibhana hai,
Aakhir me sabne tanha hi jana hai,
Hare k ke khel to beshak nirale hain,
Par unt me to sabka ek hi thikana hai.



·        Kahan dhundhta hai, tere andar tera khazana hai,
Mandir-masjid-girija kahan uska thikana hai,
Kisi  bhi butkhane me wo kahan milta hai,
Jisne bhi pana hai khud apne me hee pana hai.


·        Sachchai se yun kab tak muh maroge,
Udhari besaakhiyon se kab tak dauroge,
Sambhlane walon ko hi khuda sambhalta hai,
Apni khuddari ko yun kab tak joroge.

·        Dard she ke hi to Rab ko pana hai,
Khud apne ko khud se uthana hai,
Koi liyakat to yahan kaam nahin aati,
jisne bhi jana hai khud ki nazar se jana hai.

·        Yun to chahat ka khel purana hai,
Har ek ko apne dhang se nibhana hai,
Koi to zindagi hi is me dhundhta hai,
Kisi ko khuda bhi isi me pana hai.

·        Main uski rehmat ke sadke jaoon bhi to kyon na jaaon,
Main uski ibadat main badh ke jaoon bhi to kyon na jaaon,
Usne bhi to kholiyan bhar-bhar ke nawaza hai mujke,
Main sajde me uske geet gaoon bhi to kyon na gaoon.

·        Main apne soch se apne dil ko tang nahin rakhta,
Mukhalphat karne walon se bhi koi jan nahin rakhta,
Meri  khudi ko to uski rehmat hi sanwarti hai,
Main khud ki phitrat mein ahem ka rang nahin rakhta.

·        Meri  shayari khud mujhko sukoon deti hai,
Rag-rag me bhar ek naya khoon deti hai,
Tum to talashate ho daulat ko,
Mujhko to yeh alphak se janoon deti hai.


No comments:

Post a Comment